woh kehti hai suno jaana,
mohabaat moum ka ghar hai
tapishi me qurbani ki,
kahin pighla na de isko,
me kheta hun ki jis dil me,
zara bhi badgumni ho,
bahut kuch aur ho toh ho,
mohabat ho nahi sakti.........
woh kehti hai sada esse hi,
kya tm mujhko chahoge
ki me isme koi kami gawara nahi kar sakti,
me kheta hun woh mohabaat kya hai,
jo tmne sikhaya hai
mujhe tmse mohabat ke siwa aur kuch nahi aata,
woh kehti hai judai se
bahut darta hai mera dil,
ki khud ko tmse hat kar dekhna
mumkin nahi aab
me kehta hun yahi khash se
baht mujko sataate ha
magar sach hai mohabaat me ,
judai saath chalti hai
woh kehti hai batao kya
mere bin jee sakoge tum
meri baaten, meri yaaden, meri aankhen
bhula doge
me khata hun kabhi iss baat par soocha nahi mene,
agar eek pal ko bhi soochun,
toh saanse rukhne lagti hai,
woh kehti hai tmhe mujhse
mohabaat iss kadar kyun hai
kya eek aam si ladki
kabhi kyun khaas lagti hun
me kehta hun ki kabhi khud ko
meri aankho se tm dekho
meri deewangi kyun hai,
phir khud hi jaan jaogi
woh kehti hai
mujhe wariftagi se dekhte hi kyun ho
ki me khud ko bahut hi keemti mehsus karti hun
me kehta hun batye ja
bahut anmol motie hai
tmhe jab dekhta hun
zindgi mehsoos karta hun
woh kehti hai
mujhe alfaz ke jugnu nahi milte
tmhe bata sakun ki dilme mere kitni maohabaat hai
me kheta hun
mohabaat toh nigahon se jhalakti hai
tmhari khamosiyon se, tmhari baat karti hai
woh kehti hai
ki bataona kisse khone se darte ho
batao kaun hai woh jisme yeah mausam rulate hai
me kehta hun
yeah meri shayri hai mera aaina dil ka
zara dekho batao kya tmhe issme nazar aaya
woh kehti hai
Ankit ji bahut baaten banate ho
magar saach hai ki yeah baaten bahut hi shaag rakhte hai
me kheta hun
yeah sab baaten fasaane eek bahana hai
ki pal sab iss zindgani ke
tmhare sath kat jayen
phir uske baad khamoshi ka
dilkash raag soota rahe
nighahen bolti hai aur
yeah lab khamosh rehte hai.........